(Our Experience in 3D Story-Making Field: 6+ Years)
Ye course Learner ko sirf 3D animation sikhaane ke liye hi nahi hai, balki Learner ko ek complete career package dene ke liye hai, jisase Learner ek professional 3D Stories Animator ban sake, aur hamne developed ki huyi Advance strategies ke jariye Fast Tarike se Monthly Jada se Jada Engaging 3D Stories bana sake, aur unhe Youtube tatha Facebook par upload karke, jada se jada logon ko inspire kar sake, aur sath hi aur bhi kayi tarikon se Extra Income prapt karke, apni earning potential badha sake. Yeh course na sirf Stories Animation, balki Proper analysis for finding a Targeted Viral topic , creative thinking, fast & 3D friendly story writing, storytelling, Voice Over, Animation Video editing, Thumbnail editing, SEO strategies (to target viral videos) and Gaining Extra Traffic strategies (Tested Method by us) par bhi focused hai. Sath hi, Learner ko 3D Stories videos asaani se aur jaldi banane mein madad mil sake is liye bahut sara 3D DATA + MP3 DATA diya jata hai, jisase Learner ka DATA creation karne ke liye lagne wale 1½ se 2 saalon ka samay bach jata hai.
3D Stories Animation Masterclass (From start to finish)
3 Months – Daily 1 Hour - Sunday Off (Duration is Flexible based on practice)
Learner ko ek aisa professional 3D Stories Animator banana, jo kisi aur par depended na rahe, aur khud hi apne sabhi projects ke liye advance skill aur strategies ka use karke apne projects & ideas ko reality me laa sake. is prakar learner ko 3D Stories Animation ke liye sabhi jaruri skill sikhakar Learner ko 3D Stories Animation field me ek naye level tak le jaana. Aur Advance SEO strategies (targeting viral videos and big channels) sikhakar Learner ko apne subscribers aur viewership badhaane ke liye proper roadmap sikhaana.(Including safe Soft Grey Hat SEO[Developed by us]), aur sath hi ve sabhi jaankariya dena, jisase Learner youtube channel par jaane-anjaane me hone wali Galtiyon ko Avoid kar sake, aur youtube channels tatha anya platform se Extra Income bhi prapt kar sake. Aur sath hi, learner ko apne animation business ka setup kaise karna hai, yeh bhi detail mein sikhaaya jayega, taaki national aur international clients asaani se unke projects ke liye learner se contact kar sakein. Sath hi Learner ko yeh bhi bataya jayega ki client se full confidence ke saath kaise Conversation karein, taaki bade aur high-value projects ke milne ke chances badh sakein. Iske alawa, learner ko yeh bhi sikhaya jayega ki apne business ke liye extra orders kahan se lein aur apne client base ko kaise expand karein. jub business ka scale badhta hai aur zyada clients aane lagte hain, toh un sabhi client ke projects ko efficiently kaise manage karein, yeh bhi cover kiya jayega. In sab aspects ko sikhaakar, learner ko apne animation business ko professionally aur smoothly chalane ki puri understanding mil sakegi, jisse learner ko adhik se adhik earning aur sustainable growth milne me madat milegi, Yeh sab goals is course mein include kiye gaye hain.
Learner 3D Stories Animation banane ke liye agar khudka 3D DATA banaata he, toh use banane me 1½ se 2 saalon ka samay lag jaata he. is liye Learner ko 3D DATA provide kiya jayega (jis data ko perfect tarike se baane ke liye hame 4+ saalon ka samay laga he), isase learner ko jald se jald proper tarike se 3D Stories Animation banakar unhe youtube tatha facebook par upload karne me adhik aasani hogi. Aur usi ke sath Learner ko Animation Video Editing ke liye Free MP3 DATA (Copyright-Free Music Effects, Background Music, and Video Effects DATA) diya jata he, jo sabhi Cartoon Videos ko aur bhi professional & Engaging banane me aur Learner ki Creativity ko aur bhi kai steps aage le jaane me madat karta he.
Learner ko isme kum se kum mehnat me fast tarike se ek Engaging aur Mesmerize 3D Stories Animation kaise banate he, ye sikhaya jayega. (Engaging & Mesmerize: taaki log use jada samay tak dekhe aur isase hamare video ka watchtime increase hone me madat mil sake.)
Fast animation banane ke liye Learner ko script writing ki strategy di jayegi. Jisme Learner ko sikhaya jayega ki kis tarah se SEO friendly aur 3D friendly story likhi jati he, jis story ka 3D Animation banaate wakt, zyada time na lage, aur Learner Jaldi videos complete kar saken. (SEO friendly : Youtube ke Algorithm ke Liye achhi, taaki Youtube use Boost kar sake, aur uske viral hone ke chances badh sake). (3D friendly : 3D Stories banane ke liye achhi, jo kum samay me banayi ja sake).
Learner ko isme sikhaya jayega ke Story ko kis prakar padha (bola/bataya) jaata he, sath hi yah bhi sikhaya jayega ki kisi viral story ki Storytelling tone ko pakadne ke liye, aur us tone ko pakadakar apne stories ke liye use kane ke liye kis prakar practise karni hoti he...
Learner ko isme sikhaya jayega ki story ko kis prakar voice mein record kiya jata hai (kis prakar story mein jaan daali jati hai), aur kis prakar recorded voice file ko edit karke uski quality ko improve kiya jata hai. Isme bhi Learner ko ek proper strategy sikhayi jayegi, jisase Learner bina confusion ke poori story ko voice mein record kar sake, aur us recorded story ko fast tareeke se edit karke 3D Stories ke liye ek professional MP3 output file bana sake.
Learner ko isme sikhaya jayega ki 3D animation ban jaane ke baad, un exported scenes ko kis prakar video editing software ke jariye ek proper story mein convert kiya jata hai, aur kis prakar 3D story animation video ko ek engaging aur captivating shape diya jata hai. Aur saath hi kuch extra baatein batayi jayengi, jo video ko ek professional look provide karegi, aur Video ko aur bhi impactful banayegi. (Yeh part normal editing se alag hai, kyunki 3D Stories ke liye specific editing format hota hai jo aapko dikhaya jayega. taaki aapka content polished lage.)
Learner ko isme sikhaya jayega ki 3D animation stories ke har video ke liye kis prakar eye-catching thumbnails banaye jate hain, jo CTR (Click-Through Rate) badhaane mein madad kare, aur kis tarike se thumbnail SEO friendly banate hain, aur kis prakar usme extra effects add kiye jate hain, jisse thumbnail par CTR zyada se zyada prapt ho sake, aur video viral hone ke chances badh sake.
Learner ko isme sikhaya jayega ki animation stories category mein kis tarah ke topics viral hote hain aur kaise unhe analyze karna hai. Hume kis prakar topics find karne hain, kis prakar apne category mein viral channels ko competitor ke taur par chunana hai, aur kis prakar unhe target karke, unke viral videos ke suggestions mein aur unki audience ke browse features mein hamare videos ko push karna hai. (Isme white hat SEO & soft greyhat SEO use kiya jayega), jisse learner ko yeh sikhne milega ki kaise algorithm se khelkar channel ke subscribers badhane hain aur engagement improve karni hai.
Isme Learner ko viral 3D cartoons, animations, 3D objects, aur MP3 data provide kiya jayega, jo scratch se banaye gaye hain. Saath hi isme bahut saari ready-made locations aur assets bhi hain, jo learner ke videos ko fast tarike se banane mein madad karenge. (Agar learner khudka 3D data aur MP3 data scratch se banata hai, toh ise banane mein 1½ se 2 saalon ka samay lag jata hai.) In resources ke through learner easily high-quality content bana sakta hai bina zyada effort ke.
Is me Learner ko step-by-step sikhaya jayega ki apne animation business ko kaise expand karein aur national & international clients se kaise projects lein.
Yeh pura module Learner ko animation business ka solid setup karne aur fast scaling ke liye tayar karega!
Hum is 3D Stories Animation ki field mein 2018 se work kar rahe hain, isliye humein 3D story-making field mein 6+ years ka ek lamba aur perfect experience hai. Hamne apni is journey mein apne channels par bahut si galtiyan ki hain (channel banane se lekar perfect topic finding, analysis, SEO friendly Script writing, Storytelling, Animation, Voice editing, Animation Video Editing, perfect SEO (White-Hat + Soft-Grey-Hat), aur bhi bahut si jagah par hamne galtiyan ki hain...), aur un galtiyon ka nuksaan bhi uthaya hai. Aapko woh sab bataya jayega taaki aap woh galtiyan na dohrayein aur bina galtiyon ke is field mein ek professional bankar aage badhte rahein.
Course pura hone par aapko ek certificate diya jayega, jo aapke skills ko validate karega.
Hum sirf course sell karne hi nahi aaye hain. Learner ka course pura hone ke baad bhi agar learner ko sikhaye gaye kisi topic par koi problem face karni pad rahi ho, toh learner hamse uska solution pooch sakte hain. Hum ek samay nikaal kar (jo learner aur hamare dono ke liye suitable ho) learner ko unke problem ka perfect solution provide karne ka prayaas karenge. Aur yeh support course khatm hone ke baad bhi pure 1 saal tak milta rahega. (Waise toh ham learner ko independent aur capable banane wale hain, lekin kuch learners ki learning ki capability dusre learners se kam hoti hai, isliye unhe is support se madad milegi. Aur jo learner sab kuch sikh chuke hain, lekin phir bhi unhe kuch aur jaanana ho, jo unke mind mein ho aur uska jawab na mil raha ho, toh woh bhi is free support ki suvidha le sakte hain.)
success ki guarantee dene ka wada agar koi bhi tatha kisi bhi field ka course seller kar raha ho, toh samajh lijiye ki voh duniya ka sabse bada scammer hai. Agar aisa hota, toh aaj saari duniya us seller ka course kharidkar successful ho chuki hoti (so, beware of scammers). Lekin hum itna zarur keh sakte hain ki aap hamare advanced strategies aur hamare 6+ Years ke experience ke knowledge ke jariye, 3D Stories Animation category mein mahir zarur ban jayenge. Is course mein aapko woh bahut kuch sikhne ko milega jo aapko kisi aur animation course mein nahi sikhaya jayega, aur na hi itni detail, accuracy, aur mahirata se sikhaya jayega, jaisa hum sikhane wale hain (kam mehnat aur fast speed se engaging aur captivating 3D stories animation banana). Example ke taur par, hum aisa keh sakte hain ki aap ek samanya sainik se ek achhe level ke dhanurdhari ban sakte hain, jo akele hi yuddh ke maidan mein utarkar yuddh ladne ke kabil ho chuka ho. Lekin sirf ek achha dhanurdhari banane se yuddh mein vijay nahi milti. Yeh reality hai, ise bhooliyega mat. Ek achha dhanurdhari banane ke baad bhi aapko yuddh vijay ke liye sangharsh karna hoga. Aur aapka sangharsh (smart-work) hi tay karega ki aap yuddh mein kitni badi vijay prapt karne wale hain. Aur yahi antim tatha param satya hai. Phir chahe aap kisi bhi field ka course kharid lijiye…
Hi, I'm Dhirajkumar Patil—an Ethical Hacker, 3D Animator, and YouTube SEO Expert with a passion for cybersecurity, digital media, and technology. My journey into IT has been anything but conventional. Coming from a non-CS background, I found my passion in ethical hacking (bug hunting), 3D animation, and advanced White Hat SEO strategies for YouTube. Over the years, I've built expertise in growing YouTube channels and uncovering security vulnerabilities in major platforms.
In March 2020, Google officially recognized my contribution to security research after I bypassed YouTube's "Disable Community Post Tab" feature. As a result, I became one of the fewer than 1,700 individuals worldwide to have their name listed in the Google Security Researchers Hall of Fame (a prestigious recognition for discovering vulnerabilities in Google products through the bug bounty program).
👉 You can check my name here in the Google Security Researchers Hall of Fame.
"I believe in smart, ethical strategies that align with platform algorithms. If you're looking for sustainable growth and a professional approach to digital content, I'm here to help."
Strategic growth, content planning, and audience engagement for your video channel.
Professional animation and 3D visualization to bring your ideas to life.
Custom websites and comprehensive digital marketing solutions for your business.
Toh Bina kisi sankoch ke abhi sampark kare!